8/10/2013

Kashmakash






"zindagi na jaane kyun humse rooth gayi
hath se hi jaano choot gayi
bikhar gaye hain sapne saare
roshni sab kho gayi ....

dil kehta sanjo isse
hausla kahan se laun ?
mann ko kaise mein manau?
dil ka dard kise sunau ?

dil aur dimag ki azeeb hai yeh zad-o-zehad
toot gayi hai umeed saaari
kho di abb saari himmat e
jaane kiska hai intezaar
yamm chahe kab le bula..
chah kar bhi na chahna
kaisi hai yeh kashmakash
koi to bataye mujhe..
iss jaal se chudaye mujhe.."

..................VAISSHALI ..........................
9/8/2013

6 comments:

ABHi said...

ye zindagi ki jadd-o-jahad yu hi chalti rahegi,
har mod par nayi dastan banti rahegi

Puneet Jain 'Chinu' said...

Kashmakashe Zindgi Ki Ajib Khel Khelti Hai,
Jindgi Ko Jindgi Se Juda Karati Hai,
Thak Haar Kar Baith Jata Hai Jab Insaan,
Roshni De Ummid Ki.. Pal Pal Tadpaati Hai !!

© Puneet Jain Chinu

Vaisshali said...

Thanks Puneet .....

you r too good yaar !!

Unknown said...

शव्दचयन बहुत अच्छा हैं

Vaisshali said...

Thanks a lot Abhi n Anuj ji

Vaisshali said...

Thanks a lot Abhi n Anuj ji