8/06/2008

AZAB DUVIDHA


'' EK MANN EDHAR BHI, EK MANN UDHAR BHI ,
    KISE CHUNU HAI YEH AGNI PARIKSHA !
    HAI YEH ULJHAN KI KAUN HAI NYARA ?
    AZADI PYARI KI DESH JYADA PYARA ??

EK DHARTI WOH JAHAN LIYA JANAM ,
EK WOH JISE DIYA BACHPAN SE MANN !
EK TARAH HAI SAARE APNE.....
ESS AUR HAI SATRANGI SAPNE....

DHADAKTA HAI DIL, DARTA HAI MANN ,
KHO NA DU KAHIN APNO KO VIDESHI BANN !
DESH KI AUR KADAM BADHA KEHTA HAI DIL ,
HAR DIN APNE KEHTE HAI AAKAR JALDI MIL !!

DOOJI TARAF HAI SAPNE BULATE ,
MANN KO WAHIN KHEECH LE JAATE !
KYA KARU MEIN EH YEH AZAB DUVIDHA ,
DIMAG HAI JO MANN KA SATH NAHI DETA....

HAI ''VAISHALI'' YEH PARIKSHA KI GHADI
MANN BADA YA DIMAG KI SOCH BADI.....?? ''

11 comments:

Anonymous said...

its awesome!!!!!

Vaisshali said...

thanks..lakshya....[:)]

Swapnil said...

Hey Vaishali!!!

awesome work yaar!!! :)

love ya for writing such a good poem!! yew Rock! :)

Serendipity said...

absolutely great work... dimag se better maan always!!

Unknown said...

azab duvidha ke liye
man kehta bhavo ki juban
kyo hote bekar paresaan
dimag ki bhasha samzo
abb yese na ho heran
man de jata hi kore sapne
hamesa sath rehte man me apne
ye kyo bhulte ho
aapshi davand me kyo zoolte ho
dimag deta haqiqat ka bayan
ekk time ekk hi rehta
man ya dimag sath
kehte hi na nahi rehte sath
2 talvare 1 mayan
aatma ki awaz suno vaishali
aapke kadmo me hoga ye jahan

Unknown said...

Pyaar kya hota hai hum nahi jaante,
Zindagi ko hum apni nahi maante,

Gham itne mile ki ehsaas nahi hota,
Koi hume Pyaar kare to vishwas nahi hota...

Manik Doomra said...

Really cool! This is the poem that got the meaning! Seriously I liked this one. And ya duvidha toh hai hi! Just don't judge is the solution!

Manisha said...

This is the awesome one. Dear agar kabhi bhi pareshani me ho toh thoda time non judgement ki situation mein raho uske baad solution mil jayega.
Once again a cool one Keep it up!!!!!

Anonymous said...

wah wah


dimag jo kahe use use mante nahi
dil ki kabhi hum jante nahi
per dil ki baate sabse juda
dimag ki to sabko pata
man me dhubidha ager ho jaye

dil raste hi sab chale aaye
dil ki bhasha dil hi janta
per vo kabhi jhuth bolna nahi janta
humasha dil ki hi suno
per dimag ko kabhi undekha na karo
dimag aakhri tumhara hi hai dil ka ek kinara hi hai
use bhi kabhi tum dekhlo
dil se magar tum khel lo
dil me hajaro jasbat hote hai
phir bhi pata nahi log kyo paresha hote hai

cool aapke mukable hum kuch nahi aap shahnshal hum gulam hi sahi

Learning Guru said...

its awesome...i like it

Vaisshali said...

thanks 2 all my frnds...