10/28/2008

EK SAWAL


In dino aksar 1 sawal mujhe pareshaan sa kar jata hai...''kya hum wahi zindagi jee rahe hai , jo hum jeena chahte hai''?? Mujhe lagta hai ki aksar log jeena kuch tareeke se chahte hai aur woh kuch aur tareke se jee rahe hote hai...mein bhi apne liye yahi sochti hoon...kitna aasan ya kitna mushkil hai apni tarah ki zindagi jeena..aur kya humara parivaar  hume itni aazadi deta hai ki hum humari tarah se zindagi jee sake...may be its  little easy 4 boys than girls. Yeh sab mere mind mein bachpan se tha par USA aane ke baad yeh sawal aur pareshaan karne laga..kyuki yahan sabko apne tarah se jeene ki aazadi hai..jaise mere neighbourhood mein ek 12 yrs ke kid ne python ko apna pet banaya hai to ek ne gieco [1 type of lizard] ko apna pet banaya hai..itni azadi soch mein aur karne mein kya india mein hai..?? ya yuh kahu to indian samaj mein hai? shayad nahi..

mein aap sabhi se iss sawal ka jawab jaroor anna chahungi ki...'' KYA AAP APNI ZINDAGI APNE TAREEKE SE JEE RAHE HAI?'' ..aur kya aap apne parivaar ke virudh jakar apne sapne sakar karne ki himmat rakhte hai ya jo chal raha hai usko except kar lete hai....

feel free to express your views.....