Yeh zindagi kab kahan kaisa mod le le kise pata chalta hai? Zindagi hai to sapne bhi hote hai. Kuch poore kuch adhure aur hote hai kuch aise bhi jo toot jaate hai aur sath tod dete hume bhi.
Pata nahi kab yeh sapne zindagi ka hissa bante chale gaye. Pata na tha ki yeh wo kamzoor sapne hai jo apne sath bahut kuch le jayenge. Yeh tutate rahe par ussne apne aap ko kabhi unke sath tootne nahi diya. Buland iraade rakhe aur himmat bhi. Waqt gujarta gaya , sapne bade hote gaye aur sath hi poora hone ki aas bhi..
Woh waqt dheere dheere aane laga jab himmat bhi kamzoor padne lagi, ehsaas to hua par dil ne manne se inkaar kiya. Har koshish nakamyabi ki seedhi banti chali gayi. Aisa nahi tha ki usse kuch nahi mila....mila na--''tareefe aur tareefe''. Par... ''tareefo se kya kabhi pet bhara hai kisi ka..??'' Kamyaabi wahi kehlati hai jo pet ke sath aapka bank balance bhi bhare.
Aaya fir woh din jisne badal di uski duniya..''ek antim koshish aaj''..yahi soch ke nikali thi ghar se..issi ke liye ki thi mehnat peechle 25-20 dino se. Itn jyada yakeen tha ki aaj milegi asli kaamyabi.. Din gujarta gaya aur gujar gaye uske sapne bhi. Aaj woh toot gayi poori tarah...Kisi tarah usne apne sapno ko sameta aur ek ek karke har sapne ko dafan kar diya, usse kahan pata tha ki unsapno ke sath woh apni aatma bhi dafan kar rahi hai..Bakse{box} ko band karte hi laga aatma to andar hi kahi hai baki saaman ke sath...
Woh baksa uske sapno ka hi nahi varan uska apna taboot ban gaya. Yeh kaisa antim sanskaar tha..na koi aaya na kisi ne dua ki aur bass- - - -
SAB KUCH KHATAM HO GAYA
SAB KUCH KHATAM HO GAYA
'' KASH WOH APNI EK ANTIM ICHA POORI KAR PAATI,
UNSAPNO KE SATH USSI TABOOT MEIN KHUD BHI SO JATI...''