Chahat ki koi paribhasha nahi hoti , na isse shabdo mei baya kiya ja sakta hai... chahane ko koi kise bhi kuch bhi chah sakta hai..suraj chaand taare aur dosto koi bhi.. :) Na iski koi umar hoti hai na seema na bandhan...
Yeh sab to hui kuch kitaabi baatein... indino kuch logo se milte milate baat-cheet se ek taar juda fir taar se taar judte chale gaye. Inhi taaro ki kuch kadiyo ko joda to pata chala ki har taraf ek CRUSH CIRCLE bana hua hai ! Bahut hi chakit kar dene wala tha yeh anubhav. Koi bhi directly connected na hokar via-via hi hai..Surprising very surprising. Iss se bhi jyada aascharyachakit karne wala tha ki yeh CRUSH CIRCLE abb tak waise hi kayam hai...judkar bhi anjana...jaisa barso pehle tha...
Yeh bilkul unn raasto ki tarah hai jo ek circle par mile hue to hai..par kisi ko bhi kuch pata nahi...jo jiss se judna chahta hai woh raasta to kahi aur juda hai aur jo aap se juda hai aap uss se anjaan hai...hai na kuch ajeeb si baat yeh 1-2 raasto ki baat nahi balki sabhi raaste aise hi hai..Yeh sabse bada aashcharya hai....
Kintu aaj bhi jab iss baare mei sochti hoon ya baat karti hoon to Ek Meethi Si Muskaan Le Aata Hai yeh.....CRUSH CIRCLE......aur dil gunguna uthta hai.."AJEEB DAASTAA HAI YEH... :)