Showing posts with label inner thoughts. Show all posts
Showing posts with label inner thoughts. Show all posts

5/23/2012

ISHARAA

इशारा 


इकरार - इन्कार है नैनों  की जुबान 
दिल की गहराइयों में है  इसकी लगाम !

आँखों  को पढ़  लो जुबां  हम  ना  खोलेंगे 
दिल  को  टटोल  लो इशारों  से ना  बोलेंगे !

खुद  समझ  जाते  तो  ना  तरसते 
कुछ  कह  जाते  तो हम  भी  बहकते 
कुछ  कहा  होता तो  हम  जान  जाते 
तेरी  मोहब्बत  को पहचान  जाते !

खुदा तो देता है अनगित  इशारे 
काश  ! के तुम उनको आवाज़  दे पाते !!

                                                                 vaisshali 

11/18/2009

AATMa SAKSHATKAAR

Himmati hai woh, jo chale akele bheed mei

Himmati hai woh, jo daale prabhav kisi pe,

Himmati hai woh, jo uncha uthaye kisi ko

Himmati hai woh, jo bann jaye zindagi kisi ki

Himmati hai woh, jo cha jaye dil-o-dimag mei

Kamzor hai woh, jo aa jaye kisi ke prabhav mei

Kamzor hai woh, jo chale kisi ke peeche

Kamzor hai woh, jo jis par chal jaye jaadu kisi ka

Kamzor hai woh, jo toot jaye chuti parchayi se

Kamzor hai woh, jo sath chutne pe mita de hasti

Kamzor hai woh, jo fir na kare koshish uthne ki

Kamzor hai woh, jo ho jaye be-bass

Kamzor hai woh, jo reh jaye bass taras

Kaun hoon mei....????

HAAN MEI KAMZOR HOON, HAAN MEI KAMZOR HOON...

9/21/2009

YAADEIN


Yeh kavita mere dil ke behadd kareeb hai. shabd kamm pad jayenge yadi mei likhti rahu iss par.. Aaj to bass itna hi likh payi hoon....kyuki AANKH MEI KUCH NAMI SI HAI, AAJ FIR UNKI KAMI SI HAI :) Yeh kisi 1 ya 2 ke liye nahi hai yeh bass mere dil ki sachchai hai..4 ALL YOU MY FRIENDS..LOVE YOU

AATI HAI YAAD MUJHE
WOH YAHOO KI BAATEIN..
MERE DIN AUR TUMHARI RAATEIN
KYA YEH TUMHE NAHI HAI SATATE..??


WOH ORKUT PAR MILNA
CHATROOM MEI BHADAKNA
SCRAP 10 KO 9 PAR ROKNA
WOH SHERO-SHAYRI MEI JHAGADNA..

KYA YEH TUMHE ABB NAHI SATATE
WOH ORKUT KE DIN AUR YAHOO KI RAATEIN !

WOH CONFERENCE BANANA
MASTI MEI SABKO SATANA
WOH TRUTH & DARE KHELNA'
DARE WALO KO JAANKAR FASANA..

KYA YEH ABB TUMHE NAHI YAAD AATE..??
WOH ORKUT KE DIN AUR YAHOO KI RAATEIN !

MISS CALL DEKAR ONLINE BULANA
ANJAAN ID SE DOSTO KO SATANA
WOH YASIR KA HAR-PAL DING HO JANA
AUR SWAPNIL KA HAR BAAT PE JHAGADNA..

MUJHE YEH YAADEIN HAI ABB TAK SATATE
WOH ORKUT KE DIN AUR YAHOO KI RAATEIN !

KYA KOI SACH HAI ITNA BADA
KI DOSTI KI RAHOON MEI AA KHADA
KYA KOI JHOOT HAI ITNA CHUBHTA
DOSTO KO APAS MEI MILNE SE ROKTA

KAASH KE TUMHE BHI SATATI YEH YAADEIN
WOH ORKUT KE DIN AUR YAHOO KI RAATEIN !

KYA BADAL GAYE HAI DOST?
YA BADAL GAYI HAI DOSTI ?
WOH NILABH KI MASTI
AUR MANIK KI CHUPPI
WOH DEBU KI SHAITANI
AUR DEEPAK KI NADANI

KAHAN SE LAAU WAPAS YEH BAATEIN
ABB NA AYENGI FIR WOH RAATEIN !


KAASH KI MEI TUMHE YEH SAMJHAPATI
YEH YAADIEN MUJHE HAI PAL PAL SATATI !!
YEH YAADEIN MUJHE HAI PAL PAL SATATI !!


7/10/2009

MUKHAUTA...."THE MASK"


Suna bahut tha ,Dekha bhi
nahi socha tha hum apnayenge
jaise hai bass waise hi hai
yuhin chalte jayenge...

Waqt badla aur hum bhi
duniya ne reet sikha di
abb to bass yahi aalam hai
Mukhauta hi asli chehra lagta hai.....