FOR THOSE FRIENDS WHO CANT READ HINDI :)
Humne basaya ek baag armaano ka
socha tha abaad karenge,
kya pata tha ek ajnabi
ban dost usse barbaad karenge !
Toot gaye khawab saare
bikhraa tinka tinka,
magar nahi afsoos unko
kasoor tha jinka !
zindagi bikhari lad moti si
chaha bahut pirolu isse,
dekhkar dosti ka aaina
dhoke ki chakki mei hum pisse !
zara nahi ilm unko
kya yeh bhi ek mukhauta hai?
jaankar anjaan ban-na
yeh adaa hai ya dhoka hai..??
